(‘*”YAAD”*’)
Use ye baat samjhao
Tumhe koi yaad karta hai
= Kabhi to milne aa jao
Tumhe koi yaad karta hai
= Hamare sheher se jab tum gae the ham ne na roka
= Hamare dil se mat jao
Tumhe koi yaad karta hai
= Tumhare naam ki har shay wahin mojud hai lekin
= Kabhi khud bhi chale ao
Tumhe koi yaad karta hai
= Wafa do ge wafa dun ga jafa do ge khafa ho’un ga
= Wo baaten phir se dohrao
Tumhe koi yaad karta hai….





0 comments:
Post a Comment