Sakht mushkil mein hai ye jaan koi kiya jaaney
Dil ki dunya huwi veeraan koi kiya jaaney
Jhatak ke haath mera chhor chala hai mujh ko
Kaisey rukhsat huwa mehmaan koi kiya jaaney
Zubaan se unki khud ko bewafa sun kar
Gir para mujh pe aasmaan koi kiya jaaney
Ehad us ka tha mohabbat mein saath marney ka
Kaisey badla us ka imaan koi kiya jaaney
Dhoondti rehti hain us ko nigaahen meri
Kyun hain aankhen ye pareshan koi kya janey.





0 comments:
Post a Comment